Ind vs Pak World Cup 2023 : Check Now Highlights, Time & Venue

Ind vs Pak World Cup 2023

Ind Pak World Cup 2023 : Bharat ne padosiyon ke khilaf apna varchasva banae rakhne ke liye Pakistan ko 7 wicket se Hara Diya Rohit Sharma ki aguvahi wali Bhartiya team ne Bharat ko Pakistan ke khilaf aathvin Vishva Cup jeet dilai yahan highlights dekhen.

Ind vs Pak World Cup 2023

Ind Pak World Cup 2023 Match Saturday 14 October 2023 ko Ahmedabad ke Narendra Modi Stadium me Dophar 2:00 pm par shuru hua. Pakistan ne toss jitkar pahle ballebazi karne ka faisla kiya.

Ind vs Pak World Cup 2023 Score Highlights

Ind vs Pak World Cup 2023 ki yaha kuch Mahatvapurna Highlights diye gaye hain.

  • Ind vs Pakistan score highlights Shreyas Iyer ne ardhshatak pura karne ke liye jordar chauka lagaya aur Bharat ko Pakistan ke khilaf 7 wicket se Vishva Cup mein aathvin Jeet dilai is Vishal Jeet ke sath Bharat ne ICC Vishva Cup 2023 ank talika mein Newzealand ko shirsh se hata diya hai aur ab Bharat shirsh per hai.
  • Rohit Sharma Apne shatak se chuk Gaye kyunki Pakistan ki Tej gendbaaz Shaheen Afridi ne unhen 85 run per out kar diya. Ahmedabad ki bheed ne unki shandar pari ki sarahna ki aur ab K.L Rahul Shreyas Iyer ke sath Shamil Ho Gaye Hain.
  • Rohit Sharma ne lagatar dusra ardhshatak jamaya aur Bharat ki or se Lakshya ka picha Kiya. Hasan Ali ne Virat Kohli ko out kar badi sajhedari ka ant Kiya aur Shreyas Iyer ne Apne kaptan ke sath milkar 192 run ke Lakshya ka picha karna jari Rakha.
  • 192 run ke Lakshya ka picha karne utari team India ki shuruaat shandar Rahi aur opener Rohit Sharma aur Shubman Gill ne boundary lagai. Shahin Afridi ne Shubmab gill ko out kar jail mein wapasi ki Virat Kohli Rohit Sharma ke sath Shamil Ho gaye hain aur do sabse anubhavi ballebaaz Pakistan ke gendbaazon ko Saja de rahe hain.
  • Bhartiya gendbajon ne Khel per Puri tarah se apna dabdaba banae Rakha aur Pakistan ki pari ko daha Diya. Babar Azam ki agavahi wali team 30 over Tak achcha pradarshan kar rahi thi lekin Jaise hi Tej gendbaaz Mohammed Siraj ne Babar Azam aur Mohammed Rizwan ke bich badi sajhedari Ko khatm Kiya ballebaji charmara gai aur team 191 run ke kam score per all out ho gai.
  • Pakistan ki ballebaji dawab mein deh gayi kyunki Bhartiya gendbaaz lagatar wicket le rahe the pahle Kuldeep Yadav ne Saud Shakil aur Iftikhar Ahmed ko out karke Pakistan ke ballebajon ko dabav mein la Diya aur fir Jaspreet bumrah ne Mohammed Rizwan aur Shadab Khan ka wicket liya.
  • Mohammed Siraj ne mahatvpurn Ind vs Pak World Cup 2023 match mein team India ko safalta dila kyunki unhone Pakistan ke kaptan Babar Azam ko out Kiya Babar Azam aur Mohammed Rizwan ke bich sajhedari khatm aur Bharat ki match mein wapasi Saud Shakil Mohammed Rizwan se jud gaye the.
  • Bharat ke gendbajon ne acchi shuruaat ki aur Mohammed Siraj ne Abdulla Sharif ko out Kiya aur Hardik Pandya ne Imam-ul-haq ko out kar diya team ko majbut shuruaat di lekin ab Babar Azam aur Mohammed Rizwan ki Jodi per the aur Bharat Janta tha ki yah khatarnak ho sakta hai.
  • Tej gendbaaz Jaspreet bumrah aur Mohammed Siraj Bharat ke aakraman ka netrutva kar rahe hain aur Pakistan ke salami ballebaaz Abdullah Sharif aur Imam-ul-haq ke dimag mein Narendra Modi stadium Ahmedabad ki pitch per ek bada score hoga.
  • Ind vs Pak World Cup 2023 Rohit Sharma ki aguvai wali Bhartiya cricket team 14 October ko dopahar 2:00 baje se Ahmedabad ke Narendra Modi stadium mein ICC purush Vishva Cup tournament mein Apne chir pratidvandi Pakistan se kade mukabale mein bhidne ke liye Puri tarah taiyar hai.
  • Ind vs Pak World Cup 2023 Maujuda aankadon per najar dalen to Bharat aur Pakistan donon ne is ICC purush Vishva Cup tournament mein 2-2 match khele hain aur donon mein Jeet hasil ki hai 50 over ke Vishva Cup mein Bharat aur Pakistan ke bich yah aathvin bhidant hai aur Pakistan abhi tak Vishva Cup mein Bharat Ko nahin Hara saka..

Ind vs Pak World Cup 2023 (Pahle khele gaye Matches)

Pichhle 4 dashkon mein 1980 ke dashak se donon pakshon ne kul 204 bar khela hai Jahan Bharat ki 73 Jeet ki tulna mein Pakistan ne 88 match jite Hain 134 oneday matchon mein Bharat ne 56 match jite hain jabki Pakistan ne 73 match jite Hain.

ICC Purush Vishva cup Mukabale

Jabki World Cup mein Bharat ne sabhi 7 oneday match jite T20 I mein Bharat mein 5 jite Pakistan ne1 jita aur ek ka parinaam tie Raha halanki champions trophy mein Bharat ki tulna mein Pakistan teen matchon mein parajit Raha jisne Keval do match jite.

 

Official Website Click Here
Govt. Jobs Click Here
Bank Jobs Click Here

 

Ind vs Pak World Cup 2023
Ind vs Pak World Cup 2023
Join Telegram Channel

Leave a comment